TBC – Trend Bending Concepts

Kabhi-kabhi market ek normal straight trend me chalta hai, to hum ek simple trend line laga dete hain. Jab market us trend line ko todti hai, to hume breakout mil jata hai, kyunki wo trend line ek straight angle me hoti hai.

Lekin sochiye agar market straight na chal kar ek side bend hone lage, to us case me normal trend line kaam nahi karegi.

Is situation ko hum Bending kehte hain.
Bending ek powerful concept hai. Jab market bend karne lagti hai, hume bending ko observe karna hota hai aur breakout ke liye alag tareeke se measure karna padta hai.

Simple words me:
Bending ko dhoondho aur uske hisaab se breakout identify karo.

ANGLE ANALYSIS

Yeh saari cheezein bas aapko starting me seekhni hoti hain. Jab aap thoda practice kar loge, to bending market me khud dikhne lagegi, aur aapko koi trend line draw karne ki zarurat bhi nahi padegi.

Jab market me bending hoti hai, to hume market ke bottoms ko connect karke dekhna hota hai ki angle negative se positive ho raha hai ya nahi.
Market me pehla positive angle tab banta hai jab market apne kisi previous high ko todti hai.

Isi ko hum retesting bhi kehte hain — market check karti hai ki direction sach me change ho rahi hai ya nahi.

NORMAL BENDING

Normal Bending me hum neeche Curve Line lagate hai iske Angles ko connect karne ke liye aur upar lagate hai Breakout ko dekhne ke liye ya ARC ko dekhne ke liye.


STRICT BENDING

Strict Bending me kya hota hai, jaise market upar gai fir niche gir gai bahot tezi se uske baad bend karna shuru karti hai and uske baad upar chali jaati hai. Most of the cases me aapko strict bending dekhne ko milti hai market me.

Isko measure karne ke liye hum use karte hai Tradingview ka tool Curve Line, saath me aap ise ARC se bhi measure kar sakte hai, aur Ellipse ka bhi use hota hai.


ARC

Jab market upar se neeche aaye, phir bending karke upar uthe aur apna arc complete kar le, to wahi hoti hai hamari trade entry.

Market ne arc banane se pehle ek strong downtrend ka move diya tha —
ab wahi downtrend ka pura move hume uptrend me repeat hota hua dikhta hai.

Simple words me:
Jaise jaise market arc complete karti hai, waise hi downtrend ka jo move tha, wahi reverse hoke uptrend me dikhai deta hai. Ise me S-D (Supply Demand) Interchange bhi kehte hai.


ELLIPSE

Ellipse me kya hota hai ise pehle volume expansion hota hai, means trend apne aap ko expand karne lagta hai use baad volume contraction hota hai. Ellipse Dual Directional hota hai. Lekin agar ise dhyaan se observe kiya jaaye to yea trend following ka kaam karta hai, means jis direction se market aati hai usi direction me chali jaati hai.

Isme bhi hame FMFR(First Move Fake Reversal) concept use karna hai. Market agar Neeche side break kare and aapko agar Supply measure karne me dikkat aa rahi hai fir aap insider supply ya demand ka use kar sakte hai and uska 50% aur 100% area dekh sakte hai market kaha par reversal pattern bana rahi hai.


VIBRANCY

Isme market agar upar jaati hai and expand karne ke saath saath Bend karne lage to ise hum Vibrancy kehte hai, yea bhi Bending Patterns ka ek concept hai. Market isme bhi FMFR karti hai, chota sa move dekar dusre direction me chali jaati hai.


BLACK MIND CURVE

Ab hum jaante hain Black Mind Curve ke baare mein, ye ek Curve Line Concept ka part hai, jiska use karke aap market me reversal aur breakout identify kar sakte hain.

Concept

Maan lijiye ek downtrend start hua aur market ekdum se 90° angle par neeche gir gayi.
Ab hum uske saare swing highs ko connect karte hain — jo ek perfect curve form karta hai.
Jab ye curve completely tight aur steep ho jaata hai, isse hum Black Mind Curve kehte hain.

How It Works

  • Jab ye curve break hota hai, market retest karti hai.
  • Retest ke baad market fast breakout deti hai.
  • Ye kaafi had tak Vibrancy Concept ke jaise kaam karta hai.

Power of Angle

  • Agar market negative zone me hai to wo bahut tezi se 90° me girti hai.
  • Aur agar market positive zone me hai to wo tezi se 90° me upar bhaagti hai.
  • Extreme angles hi Black Mind Curve ka main signal hai.

Short me

Black Mind Curve banne ke baad curve break hote hi retest milta hai, aur fir strong reversal ya breakout hota hai.