FTC – FAIR TRADING CONCEPT

CMS – Capital Management System

Yeh woh capital hoti hai jo trading ke liye use ki jati hai.

Agar mere bank account mein ₹1,00,000 hai, to main kabhi bhi apna poora paisa kisi broker ko nahi dunga. Iska matlab, main apne trading account mein ek saath poora amount deposit nahi karunga.

Main apne total capital ka sirf 10% hi broker ke account mein deposit karunga, jo hota hai ₹10,000.

Ab mere broker ke account mein ₹10,000 hai, to main uska sirf 1% hi ek trade mein use karunga, jo hota hai ₹100.


RMS – Risk Management System

Jab mere broker account mein ₹10,000 aagaye hain, to ab main margin ka use karunga. Margin ko easy way mein samjhein to yeh ek prakaar ka stop loss amount hai.

Yeh margin mere deposited balance ka sirf 10% hona chahiye. Agar hum 10% dekhein to yeh ₹1,000 hota hai. Iska matlab mujhe har trade mein maximum ₹1,000 ka risk lena hai.


TMS – Trade Management System

Mujhe apna stop loss amount mil gaya hai, jo ki mere broker balance ka 10% hai — ₹1,000. Ab is stop loss ke base par hi mujhe apna lot size select karna hoga, taaki agar stop loss hit ho bhi jaye to bhi mera loss ₹1,000 se zyada na ho.