Aaj hum baat karenge kuch CCPS ke fail hone ke baare mein. Market mein sabse zyada cheezein fail karti hain, aur isi failure ke process se market apna structure banata hai. Inhi failures ka use karke hum reversals identify karte hain aur unhe pakadte hain.
Chaliye thoda aur deep mein samajhte hain ki in failures ko kaise find out karein aur kaise reversal signals ko pakdein.
Fakeout Theories ka matlab hota hai — market kisi particular level ya pattern ka ek baar use karta hai, lekin baad mein wapas us jagah nahi aata. Yeh ek sign hota hai ki market ne us level ko reject kar diya hai, aur ab woh dusri direction mein move karega.
BWW – Body Wick Wreck
Agar simple shabdon mein samjhein to is concept ko hum Reversal Pattern bhi keh sakte hain. Yeh theory candle ke body rejection ke upar based hai.
Maan lijiye market ek downtrend mein hai. Price neeche girte hue naye Lower Highs aur Lower Lows bana raha hai. Ab market apne last Lower High ke paas jaata hai aur us level ko todta hai — lekin close body ke saath nahi karta, balki ek badi wick bana deta hai.
Hum ise breakout maan lete hain, lekin actual mein yeh fakeout hota hai. Aur uske baad market wapas neeche girna shuru karta hai.
Yeh concept market mein fakeouts ko pehchaanne ka ek simple aur effective tarika hai.