CZC | Complex Chart Pattern | MMC

Aaj hum padhenge CZC (Central Zone Concepts) aur isko main aapko bade aasan shabdon mein samjhaunga. Maan lijiye hamare paas ek downtrend hai, uske baad ek CCP (Complex Chart Pattern) banta hai, aur fir market us CCP ko break karke upar ya neeche jaa sakti hai.

Ab yeh jo CCP banta hai, isse hi hum Central Zone kehte hain. Jaise yaha koi pattern banta hai aur market jab us pattern ko break karti hai, to peeche wala poora move dene ka try karti hai.

CCP Types

CCP (Complex Chart Pattern) bahot type ke hote hai aur aaj mai aapko ek ek karke bataunga jisse aapko aasani se samajh me aaye. Poora market me sirf aur sirf neeche ke patterns bante hai agar aapne inhe acche se samjh liya to aap market ke 99% area ko solve kar payenge.

‘N’ MODULE

Market jab apni supply deti hai aur utni ki demand deti hai fir hum peeche ki supply ko copy karke aage laga dete hai aur yea ‘N’ ban jata hai. Neeche jo picture hai usme red lines hai wo QFL hai supply measure karke aage lagaya gaya hai.


“W” “M” MODULE

CONDITION : Agar Supply Half ho gai to 78% cases me Demand Double hogi.
: Agar Demand Half ho gai to 78% cases me Supply Double Hogi.

Ise hum double top aur double bottom bhi kehte hai. Aap neeche ki photo dekh kar acche se identify kar sakte hai ki kab kaunsa supply demand use karna hai.

  • “W” ka bottom hamesa same nahi hota hai.

Market jab apni supply deti hai to wapas demand dene jaati hai. Agar thoda sa demand dekar wapas supply dene lagti hai, to hume lagta hai ki market me “N” banne wala hai, aur hum peeche ki badi wali supply ko laga dete hain.

Lekin market apni aadhi supply dekar fir upar uth jaati hai, aur iske baad hum fir se peeche wali demand ko copy karke laga dete hain. Lekin market us demand ko double kar deti hai aur ek “W” pattern bana deti hai.


PARALLEL CHANNEL

  • Jab market apne same range me chalti hai, means supply aur demand same hoti hai.
  • Ise hum consolidation bhi kehte hai.
  • Fir jab hame kisi ek me kami dikhti hai tab market ka move nikal kar aata hai.
  • Market hame pehle move fake deti hai jo ki chota sa move hota hai, fir market bada move deti hai.
  • Jab market fake move de aur move complete karne ke baad agar koi reversal pattern nahi dikhta hai to market aur niche v ja sakti hai supply double karke.

PENNANT

Ab hum samjhenge Pennant kaise kaam karta hai, aur ise solve kaise karna hota hai.

Ek baat hamesha aapko yaad rakhni hai Pennant trend se banta hai aur trend ko banata hai. Hume aisa structure khojna hota hai jiska move har baar chhota hota chala jaata hai.

Jab moves chhote hote hain, to isse hume pata chalta hai ki market me volume contraction ho raha hai. Aur market jab bhi breakout dene ki koshish karti hai, to pehla move kisi ek side de deti hai, jo ki aksar fake move hota hai. 78% cases me market waha se reverse kar jaati hai.

Agar reversal area par koi bullish ya bearish pattern na dikhe to market apni supply ya demand double triple kar sakti hai.

BLUE-RAY

Ab hum samjhenge BLUERAY ke baare me, yea ekdum Pennant ke jaise hi kaam karta hai but structure alag ho jata hai. Aur isme bhi first move fake hota hai and then market Reversal Candle se reverse kr jaati hai 78% cases me.

  • Blueray Market me expand hota hai
  • Market apne central zone(CCP) ko expand karne lagti hai.
  • Ise hum Volume Expansion kehte hai.
  • Aap ise dekhe to yea Volume Contraction ka reverse pattern hota hai.
  • Market agar downtrend me hai and fir Blue-ray banati hai to market apne aap ko downtrend me leke chali jaati hai. But aisa bahot baar hota hai ki market apni direction change kar de. Iske liyea aapko reversal pattern dhundna hoga.
  • Market downtrend me jaaye to, ek to hum BR-Supply use kar sakte hai, breakout se breakout tak ka area measure karke laga sakte hai.
  • Aap insider supply bhi add kar sakte hai, ya fir peeche ki supply ko bhi add kar sakte hai, same move niklega.

USING BR-SUPPLY

USING INSIDE DEMANDS AFTER THE BREAKOUT


RAT TRAP – ‘W’ & ‘M’

Ab baat karte hain RAT TRAPs ke baare mein. Yeh aise zones hote hain jo pehle toot jaate hain aur fir kaam karte hain.

Jab hamara “W” pattern banta hai, to uske central part ko hum breakout point maante hain. Jab market isse break kar deti hai, to ideally market ko upar jaana chahiye, lekin market aisa karti nahi hai.

Market wahi par consolidate karne lagti hai aur apna ek zone create karne lagti hai. Agar aap ise measure karoge to mostly aapko inaccurate moves dekhne ko milenge. Fir dheere dheere market apne aap ko neeche laane ki koshish karti hai, aur neeche aane ke baad “W” ke support wale portion par ek base banati hai.

Isko samajhne ka aasan tareeka hai — jo zone create hua hai, usko ek parallel channel ke andar rakh do. Jaise hi parallel channel tootta hai, market apni supply double karke reverse kar jaati hai.



HEAD & SHOULDER

Aaj hum seekhenge head and Shoulder ka pattern,

Market jab hame up trend me dikhti hai, to down side me ek chota sa move deti hai, Fir market ek baar apne pichle demand ko double kar deti hai. Fir apni supply bhi double deti hai fir Half demand deke neeche girne lagti hai.


INVERTED HEAD & SHOULDER