CTA – Chart Time Frame Analysis

Pichhle topics mein humne samjha ki market ke structure ko kaise samjhna hai aur volumes ko kaise dekhna hai. Aaj ka hamara topic hai Chart Time Frame Analysis.

Jab bhi market mein kaam karte hain, humein structure ko predict nahi karna hota, balki usko develop hone dena hota hai puri tarah se.

Time frame kya hota hai, isko easy tareeke se samajhne ke liye (CCD) Candle Closing Duration ka istemal kiya jata hai. Agar aap chahte hain ki ek candle 5 minutes mein close ho, to aap alag-alag time frame ke liye use set kar sakte hain.

Lekin aap hamesha yeh confuse rehte honge ki kaunsa time frame select karein, jaise 5 min, 15 min, 30 min, 1H, 1D, 1M. In time frames ko select karne ke liye kuch factors hote hain.

Hame chart ko hamesa dheere dheere solve karna chahiyea, isse hame bahot saare evidences milte hai. Like, waha Breakout ya Breakdown hua hai ya nahi. Candle ne closing di hai ya nahi. Basically yahi se samjh me aata hai aapke under patience kitna hai. Koi 15 minute ka candle tak hi patience rakh sakta hai aur koi 4H to koi 1 Month ki candle ka bhi rakh sakta hai.

Aap breakout hone ka wait kitne der tak kar sakte ho. And trust me suruwat me sabka patience level kam hota hai aap choti time frame ki candle se start kare aur dheere dheere badi time frame me shift ho sakte hai isse aapka brain dheere dheere train hota hai.

Decision Making Duration: Hamein samajhna hoga ki chart ko solve karne ke liye hame kitna time lag raha hai. Jitna jyada time solve karne me lagega utna bada timeframe aapko use karna hoga.

Hame time frame kavi kam nahi karna chaiyea jaise jaise hamara brain train ho hame apne timeframe ko badhana chahiyea. Kyuki kuch bade chart partterns banenge kuch chote banenge and aapko unko banne dena hai and wahi aapka patience level check hota hai.

Appko karna kya hai, ek pattern ko identify karne me jitna time lag raha hai usse 2X ya 3X bada timeframe select karna hai. Agar mujhe chart ko solve karne me 5 Minute lagte hai to mujhe kam se kam 15 minute ka timeframe select karna hoga. Agar mujhe 15 minute lagte hai to fir 30 min ya 1HR ka timeframe solve karna hoga.