Aaj ka hamara topic hai Candle Roots, hum samjhenge ki candle ki upar aur neeche jo wicks banti hai wo hame kya samjhati hai and iski madad se hum market ki direction ko kaise samj sakte hai.
Aap dekhte ho market kavi support ya resistance par hoti hai to huge trading volume ke karan bahot jyada wicks banne lagti hai and candles ki body chote hone lag jaati hai, jisse hame confusion hota hai and market ki direction ko identify karna muskil ho jata hai.
Pehle yea samjhte hai ki, jab candle banti hai to uske under sabse important hota hai, ki candle me kis side wick bana hai, UPAR ya Neeche?
Maan lijiyea market me consolidation ho raha hai aur agar aapke samne jo candles ban rahi hai unki wicks bottom(Neeche) side me hai, aur hame candles ki color se koi matlab nahi hai, yea red bhi ho sakti hai ya green bhi ho sakti hai. Neeche side se aane wali wicks hame bullish pressure dikhati hai, aise case me market ek bahot hi chota sa move neeche side de kar fir upar chali jaati hai, pehla move fake de deti hai, jo ham ban rahe pattern se identify kar sakte hai.
- SUPPORT: Agar market apne support par hai aur neeche se wicks bane means bullish pressure.
- RESISTANCE: Agar market apne Resistance par hai aur upar se wicks bane means bearish pressure.
- BOS: Market apne Support ya resistance par hota hai aur sabse badi wali wick hoti hai usko mark karte hai as a Break Of Structure, market agar usko cross kar de with big candle fir market usi direction me jaane lagti hai.
CENTRAL AREA CONSOLIDATION
Agar market kisi central area par consolidate kar rahi hai & market me wick neeche se banti hai to bullish pressure hota hai, market upar chali jaati hai and jab resistance se neeche aane lagti hai to ek BIG CANDLE banti hai jo poore are ko ek baar me hi cover kar deti hai, jo consolidated area tha.
PENDING ORDER
Market ke consolidated area me jab wicks banti hai aur market apna move upar ka complete karke neeche aata hai to ek candle se poora consolidated are fill kar deta hai, aur Yahi market me wick ke neeche Pending Orders lagte hai and market neeche chali jaati hai.
Trade With Market Wicks
Ab aap soch rahe honge, ki trade kaise lagaye, to yea bahot hi aasan hai, mai aapko detail me batata hun.
Humne samjha ki market me agar neeche side wicks bane to market upar chali jaati hai, aur apne resistance se jab neeche aati hai to ek candle se hi poora are cover kar leti hai, to market me jo High bana hota hai aur wicks ki low bani hoti hai, hum low ke neeche pending order ya fir manual order lagate hai, aur neeche ki wick se upar ke high tak ke are ko measure karke neeche laga dete hai and market waha tak aa jaati hai.