Candle Divide And Rule | MMC

Aaj ka hamara topic hai Candle Divide and Rule, hum samjhenge ki hum candle ko divide karke aage ki move and market ki direction ko kaise pata kar sakte hai.

Yea Candle divide and rule samjhne ke liyea aapko candle ke do(2) pehlu ko yaad rakhna hoga. Aur aap dekhenge ki yea har jagha kaam karega. Maan lijiyea hamare paas ek Hammer bana hua hai, means ek green colour ki candle bani hui hai hamare paas. Ab candle ki top se bottom(wick) tak isse do hisso me divide kar de, to aap dekhenge ki mere aadhe hisse me sirf wick aai hai neeche ki, Lekin upar me mere paas thodi si body hai.

Ab yea samjho, candle ke upar 100 log hai aur candle ki neeche 50 log hai, maine 100 is liyea bola kyuki candle ki body upar side hai.

Ab neeche wick side me jo 50 log hai wo dekhte hai are upar to 100 log hai wo best hai, kyuki jaha jitne log waha bheed jyada, ab yea 50 bhi upar ki tarf bhaagenge, ab neeche jo wick bachi hai aur upar bhi jo wick bachi hai sab wo choti si volume(candle body) ke peeche bhaagenge aur aap dekhoge, hammer ke neeche jitna bada wick hai market me sudden uthna bada move upar side aajata hai ek candle me hi.

Ab ek aisa hammer bana jisme neeche ki wick bahot choti hai aur body jyada hai, aur isko jab half karenge ko neeche body bhi ayegi aur wick bhi, ab isko kaise solve karna hai yea samjhte hai, ise bhi ek acche example se samjhte hai.

Dekhiyea, Ek hammer bana jiski body big hai and neeche ki wick choti, and ise bhi humne half me divide kiya to upar me full body aai and neeche body ke saath wick, Ab hum maan ke chalte hai jo full body ka area hai usme sab intelligent log rehte hai and wick side me bewakoof log rehte hai, jaise hi hamne divide kiya upar sab intelligent log reh gaye, aur neeche half intelligent log aur half bewakoof log.

Ab yea intelligent log kya karenge, inhe bewakoofo ka saath pasand ayega nahi and yea upar bhaagenge intelligent logo ke peeche, jaise hi bhaagenge, ab bewakoof log dekh rahe hai, are yea to upar ja rahe hai jarur koi baat hai, yea bhi bina kuch soche samjhe upar jayenge. aur isi chakkar me ek Big green candle bana denge.

Is candle ko hum awareness candle bhi kehte hai.

Aap same concept ko red candle me bhi apply kar sakte hai, ekdam same work karega.